Wednesday, July 28, 2010

Khoj (Hindi)

................Khoj......
..........................

Aaj waqt mera nahi, Waqt mere saath nahi
Kabhi sochta hoon, kyon yeh waqt kabhi rukta nahi

Pichle ki kyon parva mujhe, khushi ka na ehsaas mujhe
Meri hasi ke parde ke peeche kya chhupa, yeh pata nahi tujhe

Duniya pe nahi bharosa, Bilkul nahi vishwaas
Badlaav shaayad laa paaun, tab tak yehi mera libaaz

Zindagi ko baareki se dekhu, har chehra pehchaanu
Acchaaiyon ko andekha kar, sab khaamiyan main dhoondu

Kareeb hain jo mere, unki khushi main chaahu
Agar maange who taare, toh chaand bhi mein lekar aaun

Chand ko jab who dekhe, unhe dikhe uska daag
Ab mere dil mein jhaank kar dekho, jale gusse ki aag

Chaahun nahi shauharat, Chaahun nahi paisa
Maangu main dil ka sukoon, Kab aayega din aisa

Jo lage mujhe pyaara, Jag ne use chheena
Kabhi uthe yeh sawaal, kya ise kehte hai jeena

Kyon lage kandhon par duniya ka bojh, hamesha ho tanaav
Ek din ke liye hi sahi, Kyon na kam hota iska prabhaav

Aaj dua karta hoon khuda se, rakhon mujh par aapka haanth
Ladkhadaaye jab kadam, sahaare ke liye mile aapka haanth

No comments:

Post a Comment